Motivational Baatein- Safalta ya Success pane ke kuch nuskhe| Formula For Being Successful Person
Motivational Baatein- Safalta ya Success pane ke kuch nuskhe| Formula For Being Successful Person
Duniya mein 2 tarah ke log hote hai ek who jo safal hote hai inki sankya kafi kam hai aur dusre jo safal nahi hai aur inki tadaat bahut hi jyada hai. Isse saafpata chalta hai ke jo log safal hai who log humse kuch alag kaam karte hai aur isiliye woh humse adhik safal hai aur hum shayad woh kaam nahi karte jo safal log karte hai, isliye kehte hai ke business mein ya life mein safal hone ke liye who baat jan na jaroori hai jo aur log nahi jaante, safal log apne behavior, apne haav bhaav apne business aur faisle lene mein humse jyada confident hote hai, iskliye kuch buniyade (basic) cheejein jan na behad jaroori hai ke safal log aisa kya karte hai ke who humse jyada behtar hai. To dosto aaiye aaj jaane aise kuch safalta ke sutra jinse aap bhi apna business, behavior badal sakte hai aur safalta ki bulandiyo ko choom sakte hai, meri website Nuskhe.in apne facebook, twitter ya Google+ pe jaroor share kare.
CLICK HERE TO READ: Motivational Notes on Apna Bhavishya Kaise Banaye
Safalta pane ke kuch sutra is prakaar hai:
- Kisi ko baat ke beech mein na toke: Agar aap sach mein safal hona chahte hai to ek baat ka hamesha dhyan rakhe ke kisi bhi insaan ki baat ke beech mein usse na toke aur ek acche shrota (listner) bane aur logo ki baat ko dhyan se sune, chahe aapko us baat ke bare mein pehle se hi pata ha iya nahi, unki safalta- asafalta ki kahaniyo ke beech mein se apne kaam ki baat ko dhoodhe aur un baton par gaur karte hue apne bhavishya mein hone wali bhool ko pehle hi sudhare le, jaroori nahi ke jab tak aap khud galti nahi karoge aap seekh nahi paoge, aap doosro ki galtiyo se bh bahut kuch seekh sakte hai.
- Na kehna ya mana karna sikhe: Har koi insaan jo aapse koi kaam karwana chahta hai jaroori nahi hai ke sabko haan hi bolni hai, kisi kisi baat pe logo ko mana bhi karna chahiye, is baat senahi darna chahiye ke aap usse mana kar dauge to woh kya sochega ya woh aapki help karega ke nahi, aap unhe bataye ke aap unka kaam kyon nahi karna chahte, aur befaltoo ki jimeedariyo se darne ki bajaye khul ke baat kare. Aapki bhi apni jimeewari, life aur business hai us aur bhi dhyaan dena jaroori hai, isliye kabhi kabhi NA kehne mein koi burai nahi hai.
- Gossip karne se bache: jitna ho sake gossip karne se bache, yeh sirf time waste karne ka hi tarika hai is se kuch hasil hone wala nahi hai. Gossip karne ke matlab kai baar aap apne yaaro-dosto ki chugli karna, is se samne wale ko lagta hai ke agar aap apne dosto ki unke samne chugli karte ho to aur dosto ke samne uski bhi chugli karte honge, is se kai baar relation kharab bhi ho jaate hai ya pehle jaise nahi rehte, isliye doosro ke bare mein charcha ya chugli karne ki bajaye apne kaam par dhayn dena jyada behtar hai.
- Sahi samay par hi shuruat kare: Safal log apne din ki shuruat mein hi apne saare din ki planning bana lete hai ke aaj unhe kya kya karna hai aur kaha kaha jaake kis se milna hai, is se who apna us din ka time table set kar lete hai jabki asafal log dinbhar yahi sochte rehte hai kea b kya karna hai aur aage kya karna hai, bas isi tarah yeh apna sara din bekar kar lete hai, isliye ab aap khud soch lo aapne kis taraf jana hai, safal logo ki taraf ya asafal logo ki taraf.
- Bhavanao (feelings) par control rakhe: Safal log doosre logo ko judge karne ki jagah apne kaam ki aur dhyaan dete hai aur anya logo ki safaltao se prerna lekar aage badte hai. Safal log kisi doosre ki kamiya niaklne ki bajaye khud ko improve karte hai aur saflata ki aur badte jaate.
- Ateet (past) ko apne upar haavi na hone de: Zindagi mein har koi safal paida nahi hota ya ameer ghar mein paida nahi hota, sabko apni zindagi ke utar chadav ka expericne pata hota hai. Humko khud hi apni ki hui galtiyon se sikhna padta hai khud ko aur improve karna hota hai taki hum aura age bad sake. Isliye ho sake to apne past mein ki galtiya ya aapka past kaisa tha yeh sochne ki jagah apna bhavishya banana ke bare mein chintan kare.
- Kisi ki nakal na kare: Beshak safal vykati auro se prerna lete hai, par woh unke dwara kiye hue kaamo ko thoda aura lag tarike se karte hai aur kabhi bhi unke jaisa ban ne koshish nahi karte. Who to unse bhi aur behtar ban ne ki koshish mein lage rehte hai aur hamesha kuch na kuch rachnatmak (creative) karne mein lage rehte hai.
- Kisi ko dosh na de: Aaj ke daur (time) mein jo log safal hai unhe virasat mein kuch khaas nahi mila, unhe apni knowledge, apne kama kaaj, apne behavior se apna yeh samrajya banaya hai ( chahe facebook ho ya twitter ya goolge ya koi bhi badi company) inhe kabhi kuch nahi mila bas apni knowledge , kuch achche dost, aur acchi team ke bharose hi yeh log aage bade aur aaj duniya par raaj kar rahe hai.
Yeh hai kuch baatein ya khaasiyat jo safal logo ko anya logo ki bheed (crowd) se alag rakhti hai, agar aap bhi in nuskho ya sutro mein se kuch apne andar la sake to aane wale waqt mein aap bhi kaamyab ban sakte hai aur bulandiyo ko choo sakte hai aur khud ko bheed se alag kar sakte hai.
Yeh kuch aisi motivational, inspirational ya prernadayak baatein hai jo bahut hi kam padne ki milti hai ya koi bahut kam hi kisi se share karta hai. Umeed hai inhe padkar aap khud ko badalne mein jutt jayenge aur pehle se adhik taqatwar, majboot aur kaamyaab hokar nikloge.