Jaaniye apni married life ki problems apne friends se kyon share nahi karni chahiye

Jaaniye apni married life ki problems apne friends se kyon share nahi karni chahiye

Never share your personal married life problems and happy moments with your friends.

Never share your personal married life problems with your friends

Kya apni married life ki problems apne dosto se share karna sahi hai ? jawab hai bilkul bhi sahi nahi hai. Aaiye aaj hum is baat par detail mein batate hai ke apni problems apne dosto se kyon share nahi karni chahiye.

Rishte chahe jitney marji purane ya majboot kyon na ho phir bhi apni gharelu life ki personal baatein, chahe pyaar mohabbat ki ho ya ladai jhagde ki apne dosto se nahi share karni chahiye.

Agar aap apne dosto se apni personal married life ke khushnuma pal apne dosto se share karoge to kisi na kisi din usse aapse jalan hone lagegi, aur agar aap apne rishto ki weakness ya burai apne dosto mein karoge to ya to aap ya aapka partner unke liye hassi ka patra( character) ban jaayega.

यह भी पढ़ें :- जानिये कौन सी है वह 10 चीज़ें जो आपको पहली बार सेक्स करने पर महसूस होती हैं

Never share your personal married life problems with your friends

Yeh hai kuch baatein jinhe aapko kisi se bhi share karne se bachna chahiye.

Sexual Life Discuss Na Kare:

Aapko apne dosto se apni sexual life ke bare mein kabhi bhu kuch accha bura ya kisi bhi tarah ki baat nahi karni chahiye, agar apaki yeh baatein aapke partner ko pata chal jaaye to unhe aapki in baato par sharmindagi mehsoos hogi. Isliye is prakaar ki baatein apne dosto se share karna avoid kare, kuch dost to aapki in baton se fayda uthaane ki bhi soch sakte hai.

Ladai Jhagde ya Argument ki Baat na Share kare:-

Kai baar aapki aapke partner se kisi baat par bahas ya ladai ho jaati hai to yeh baat aapne dosto ko mat bataye, unki is baat par kabhi koi rai nahi leni chahiye, aisa karne se unke mann mein aapke partner ke liye galat feeling ban jaati hai aur is tarah aap apne relation ka tamasha bana lete hai.

Partner ki Financial Problem Discuss na Kare:-

Agar aapka partner financially strong nahi to aap unhe motivate kare, unke kaam ke bare mein discuss kare aur kuch suggestion de. Agar aap apne partner ki financial problem ka apne dosto mein discussion karoge ya uska majak udaoge to yeh aapke relation ke liye nuksaandaayak hai, aur is tarah ki harkat se aap khud ko apne dost ki nzaro mein bhi gira lauge.

यह भी पढ़ें :- जानिये भारत में सुहाग रात से जुडे़ हुए कुछ विचित्र रिवाजों के बारे में

Never share your personal married life problems with your friends

Bure Waqt ki baatein na Share Kare:-

Agar aapka rishta kisi bure daure se guzar raha hai to apne rishtedaaro se baat ya apne bhai-behan se baat kare. Agar aap apne dosto se baat karoge to mostly friends aapko relation khatam karne ki hi baat karenege, dosto ek baar rishta khatam karna asaan ho sakta hai par apne partner ko saari umar aap bhula nahi paoge, aise mein naye partner ke saath bhi aapko ussi ki yaad satayegi. Isliye sanyam se kaam le. Ek doosre ko samjhe aur samjhaaye, utar chadaav to life ka hi ek hissa hai.

Dusri Shaadi ya Relation ki Baat na Discuss Kare:

Agar aapka ya aapke partner ka yeh 2nd relation ya pehle ek divorce hone ke baad doosra rishta hai to aap khud bhi aur apne partner ko bhi is baat ke bare mein apne dosto se discuss karne ko mana kar de. Kahi yeh na ho aapke dost aapko is baat par bhadka de aur yeh relation bhi khatre mein aa jaye. Kyonki chahe dost hi kyon na koi na to hota hi hai jo aapke haste khelte parivaar ko dekh ke khush nahi hota hai.

यह भी पढ़ें :- जानिये 7 तरीके लिविंग रूम की सजावट के जो हमेशा आयेंगे आपके काम

Partner ki Shikayat aapas Mein Solve Kare:-

Agar aapko apane partner se koi shikayat hai to unse seedha jaakr problem par bata kare aur khud hi solve kare, teesra banda jaroori nahi hai ke acchi salah hi dega, jyadatar to aag mein ghee ka kaam karte hai aur ho sakta hai woh aapko relation khatam karne ke liye keh de, aur is wajah se aap kahi ek acche insaan ke roop mein mile apne partner ko kho de.

Never share your personal married life problems with your friends

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *