10 aise Nukshe jo kahi bhi kabhi bhi kaam mein aa sakte hai- Jaroor padhe aur yaad rakhe

10 aise Nukshe jo kahi bhi kabhi bhi kaam mein aa sakte hai- Jaroor padhe aur yaad rakhe

Kya aapko yaad hai jab bachpan mein aapko chot lagti thi to aapko doodh mein haldi milake pilate the taki chot jaldi theek ho sake. Gale mein kharish hone pe shahad mein adrak milake dete the, aisi kai baatein aapko shayad yaad hogi ya bhul gayi hogi. Kuch aise nuskhe jo aapki dadi ya nani aapko bachpan mein batati hogi. Chaliye aaj aapko fir se bachpan ke 10 aise nuskhe batate hai jo aapko hamesha yaad rehni chahiye taki aap bhi waqt padne par un yaado se kisi ka bhala kar sake.

Must Read: kidney Stone ke Nuskhe – Gurde ki Pathri Ke Nuskhe

  1. Garam Doodh aur Haldi: Haldi sirf masala hi nahi ek bahut gunkari aushadhi bhi hai, aur doodh to bones ke liye waise hi bahut badiya hai. Kah ibh chot lagne par, sardi, khansi, jukam hone par thodi si haldi half glass doodh mein milakar piye bahut araam milega aur sab jaldi theek ho jaayega.
  2. Ajwain aur Namak: Ajwain to paranthe mein daalkar khaate hi hai aur namak ke bina to kuch banta hi nahi hai. Jab pet (stomach) kharab ho, hajma kharab ho to ajwain aur namak (ho sake to kala namak) thoda sa mix karke khaye, pet ki problems theek ho jayegi.
  3. Tulsi aur Kali Mirch: Tulsi to almost sabhi ke ghar mein iska plant mil hi jata hai. Aur kali mirch bhi masale mein hoti hai. Bukhar, khansi, sardi mein 10-15 tulsi ke leaves aur 4-6 kali mirch ke dano ko peeskar paste ban jaane pe kha le aur halka garam pani pi le, sab theek ho jaayega.
  4. Adrak ki Chai: kehte hai na badar kya jaane adrak ka swad, kyoki yeh kadwi hoti hai, par insane ko iska swad aur importance pata hai isliye sehat ke liye adrak bahut hi gunkari hai. Adrak ki tea se sardi, jukam, bukhar mein to araam milta hi hai, yeh migraine ki problem mein bhi kafi helpful hai.
  5. Kachche Badam: Badam ko sirf dry fruit ke lehje se hi nahi khaane chahiye. Aap badam ko raat ko pani mein bhigo ke rakh de aur subah uthkar uske chilke utarkar kha le, is se memory badti hai aur shreer mein taqat aur garmi aati hai.
  6. Sarso ka Tel: Joints mein dard hone par sarso ke tel (oil) ko garam karke joints pe lagaye kuch din dard theek hone lagegi. Maalish mein bhi sarso ka tel hi use hota hai.
  7. Dahi: Doodh aur Dahi to india mein kitchen ki shaan hai. Dahi to har ghar mein asaani se mil jata hai. Agar sir mein dandruff ho to dahi koi baalo mein lagaye aur 10-15 minutes baad sir dho le aur shampoo kar le , dandruff khatam ho jayega.
  8. Chini: Chini sirf tea aur milk mein daalke peene ke liye hi nahi hai isse aap hichki aane par bhi use kar sakte hai. Hichki aane par 1 spoon chini araam se chaba chabar kar khaaye, hichki khatam ho jayegi.
  9. Nimbu aur Shahad: Weight loss karne mein Nimbu aur Shahad ka koi competition nahi hai. Subah uthkar khali pet (stomach) nimbu aur shahad ko halke garam pani mein mix karke piye, kuch hi dino mein dekhna weight loose hona start ho jayega, jab yeh aapko extra fat ko burn karne lagega.
  10. Kela: kela sirf ke fruit hi nahi hai isse kai prakar ke desi nuskho mein bhi use kiya jata hai, loose motion mein kele khane se araam milta hai, badhajmi, indigestion mein bhi kele se araam milta hai, aap iska paste banake face pack banake bhi laga sakte hai.

To dosto yeh the kuch 10 aise nuskhe jo aapke bachan mein aapke bade bujurg aapko zaroor batate the, to chaliye ab aap ki baari hai apne choto koyehsab batane ki. Meri website Nuskhe.in bhi sabhi ko jaroor bataye.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

3 thoughts on “10 aise Nukshe jo kahi bhi kabhi bhi kaam mein aa sakte hai- Jaroor padhe aur yaad rakhe

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *