Vastu Shastra ke in 10 nuskho ya upaaye ko apne ghar mein apnaiye aur dhan daulat mein barkat paaiye

Vastu Shastra ke in 10 nuskho ya upaaye ko apne ghar mein apnaiye aur dhan daulat mein barkat paaiye

Sabhi log bahut mehnat karte hai par jyadatar ke paas dhan daulat jyada der tik ti nahi hai, ya who us paise ko sambhal  nahi paate, ya kai baar na chahte hue bhi kisi business ya kaam mein loss hota rehta hai, aise mein yeh samjh paana bahut hi mushkil hota hai ke aise kyon ho raha hai, darasal ismein aapko galti nahi hoti yeh kuch aise chote chote kama hote hai jinke bare mein shayad kisi k onahi pata hota ke aise chote chote kaamo se hi yeh sab dhan dualt ke loss theek ho sakte hai, aaj main aapko aise 10 vastu shastra ke nuskhe bata raha hoon jinhe shayad aapne apne ghar mein hote to dekha hoga par yeh nahi pata hoga ke in choti choti baton se dhan daulat ghar mein tik ti nahi hai. To dosto padiye yeh nuskhe aur apni financial situation ko fir se kare theek aur apne dosto, sage, sambaandhiyo ko bhi bataye yeh nuskhe aur meri website Nuskhe.in ke bare mein bh isbako jaroor bataye.

Must Read : Prem mein safalta aur vashikaran ke Nuskhe

  1. Paise ko Locker ya Almari mein rakhne ki disha: Ho sake to apne locker ya almirah ko south-west ki taraf rakhe taki almari ka muh north ki taraf open ho sake. Aise isliye kyon dhan ke devta kuber ji north direction mein rehte hai. Locker ya almari ke upper tube ya bulb ya nahi lage hone chahiye, side mein ho to koi problem nahi hai. Upper hone se ghar aur business mein problems aane lagti hai.
  2. Nal (tap) se tapakta paani: Ghar ke nalko se panai tapakna bahut common si baat hai. Isliye bahut se log is baat ko ignore kar dete hai par vastu shastra mein yeh financial problem ka ek bahut bada reason hai.
  3. North-east direction mein ladders nahi honi chahiye: is direction mein kabhi bhi ghar ki sidhiya (alders) nahi honi chahiye, yeh jagah hamesha saaf suthri aur ache tarike se saji hui honi chahiye, kyon devta kuber ji ka vaas isi taraf hota hai, aur na hi kabhi koi machiene is direction mein rakhni chahiye.
  4. Bedroom mein lagaye metal ke frame ya designer item: Bedroom ki entrance ke samne wali wall par koi metal frame ki ya metal ki moorti honi chahiye, vastu shahtra ke anusar yeh place luch aur finance ka hai, aur na hi is direction ki wall mein kabhi daraar (crack) hona chahiye.
  5. Kaisi ho ghar ki chhatt (roof): Ghar banwate dhyan rakhe ke north-east ki chhatt, south-west ki chatt se thodi kam uncho ho, yani ke north-east ki chatt ki taraf dhalan honi chahiye. Vastu Shahstra ke anusar yeh dhan aur famous hone ke liye bahut badiya hai.
  6. Ghar mein kabaad na rakhe: Ghar mein kabhi bhi tute foote bartan, frame, photos, ya kuch bhi aisi cheej jo tut chuki ho na rakhe aur kabhi bhi kisi bhi tarah ka kabaad ikkatha karke na rakhe, yeh ghar mein bahut hi gande tarike se negative energy leke aate hai jis se tan kya mann kya dhann aur sab kuch chala jata hai. Ghar mein ladai jhagde bad jaate hai, kaam dhandah chaupat ho jata hai. Rishto mein khataas aa jati hai isliye kabhi bhi ghar mein gandgi na rakhe, ghar ko hamesha saaf rakhe.
  7. Clean door and windows: ghar ki khidki aur darwaje hamesha safa hone chahiye kyonki laxmi inhi se hokar aayegi aur wah gandi ya dhool bhari khushi aur darwajo se hokar nahi aati hai.
  8. Main door ki sajawat: Agar aap chahte hai ke aapke ghar mein lakshmi ka vaas hamesha rahe to apne ghar ke main dorr ko hamesha saaf aur decorate karke rakhe. Apne ghar ke main door ke bahar bastu shahstra ke anusaar name plate zaroor honi chahiye. Is se lakshmi ji ka vaas bana rehta hai.
  9. Jaamuni ya purple color ka mahatav: Purple color dhan-sampati ka prateek (symbol) hai. Apne ghar mein jamuni rang ka plant zaroor lagaye yeh dhan aur property ke life kafi acha hota hai. Ghar mein koi photo bhi laga skate hai jismein purple color ka plant laga ho. Yeh aapke liye shubh rahega.
  10. Paani ki ghar se nikasi (water severage): vastu Shastra ke anusaar jal ki nikasi ya kahe water severage system bilkul sah ihona chahiye, paani ka ikkatha hona dhan sampada ke liye bahu thi hanikarak hoti hai. Ho sake to jal ki nikasi ki direction north ya east ki taraf hone se bhagya jag jata hai aur south and west ki taraf pani ki nikasi apne saath negativity lekar aati hai

To dosto yeh thi kuch chot choti vastu tips jo aapke ghar mein fir paiso ki barsaat kar sakti hai. Umeed hai unke sahi istemaal se kuch na kuch fark to zaroor padega apaki financial situation mein.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *