Shahad ke Gunn aur Swasthya se Jude Nuskhe

Shahad ke Gunn aur Swasthya se Jude Nuskhe

Shahad dharti par paayi jaane wali duniya ki sabse purani aur meethi cheej hai. Lagbhag 8000 saalo se insaan shahad ka istemaal karta aa raha hai. 500 gram shahad banana ke liye madhumakhi ko (bee) ko dharti ke 3 chakakr jitna ghuman padta hai tab jaake wah 500 gram shahad bana pati hai.

Shahad sehat ko chust durust rakhne ke liye bahut hi faydemand hai. Yeh post padne ke baad jinki rasoi mein shahad (honey) nahi wah bhi isse khareed kar laayenge aur use karenge. Rojana shahad ka use karne se sharaaer mein taqat, safurti and urja uttpann hoti hai. Madhumakhi ke chhate se paye jaane mom (wax) se bani mombati ghar ke vatavaran (atmosphere) ko khudh banati hai ghar ke negativie energy positive energy mein badal jati hai. Shahad ko kabhi bhi garam karke na khaaye nahi to shayad zehar bhi bann jata hai.

Shahad mein vitamin A,B,C iron, calcium, sodium phosphorus, iodine paya jata hai. Rojana shahad khaane se sharer mein taazgi, chusti aur safurti aati hai.

Must Read: Tanaav (Stress) Se Bachne ke Nuskhe

Shahad ke Nuskhe is prakaar hai :

  1. Shahd ke rojana use se kamjor (yad dasht) memory fir se tej ho jati hai.
  2. Sharer ke jakhan par cotton ya patti se shahd lagaye, jakham jadi theek hoga.
  3. Peshaab (Toilet) mein infection aane par shahd ko daalchini ke powder ke saath garam paan ike saath lene se bacteria khatam ho jate hai.
  4. Aankhon par pure shahad lagane se eyes chipchipi zaroor lagti hai par yeh aankhon ki roshni badane mein kafi helpful hai.
  5. Cough aur asthma mein shahad ko adrak (ginger) ke saath le, araam milega.
  6. High blood pressure ko control karne mein bhi shahad kaafi faydemand hai.
  7. Khoon ko saaf rakhne ke liye bhi shahad khana behad jaroori hai.
  8. Heart problem, ya dil ko majboot banana ke liye ya kisi bh iprakaar ki dil ki problem ko khatam karne mein bhi shahad kaafi kaam aata hai, rojana shahad khaaye dil ki bimari ko door bhagaye.
  9. Shahad ke rojana istemaal se dimagri kamjori door hoti hai.
  10. Piliya ya jaundice jaisi bimari mein pake aam mein shahad milkar khane se laabh milta hai.
  11. Garmiyo ke mausam mein pet ko halka rakhne ke liye rojana paani mein shahad milkar piye pet ko araam milega aur pet (stomach) halka bhi rahega.
  12. Kabaj ki bimari mein tamtar (tomato) ya santre (orange) ke jucie mein shahad milkar piye kabaj door ho jaayegi.
  13. Chehre ki khushki (dryness) ko door karne ke liye shahad ko malai aur besan meinmilkar ubtan banaye aur chehre par lagaye, chehra fir se chamak aur khill Jaayega.

To dosto yeh the shahad ke nuskhe jinse aap kafi kuch seekh sakte hai aur ko bhi iske nuskhe bata sakte hai aur saath mein meri website Nuskhe.in ke bare mein bhi auro ko zaroor bataye.

Dhanyawaad.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *