Migraine- Sir Dard se Bachne ke Nuskhe

Migraine- Sir Dard se Bachne ke Nuskhe

Migraine dimaag mein chemicals ke asantulan ke kaaran hota hai, halke haahton se malish karne se ismein araam milta hai, light music sun se se bhi migraine mein araam milta hai.

Migraine ka dard kafi takleefdeh ho skata hai, ismein aap neeche likhe upaaye se is bimari se kafi had tak apna bachaav kar sakte aur dossro ko yeh nuskhe batakar unka bhi bhala kar sakte hai saath mein meri website Nuskhe.in bhi unhe zaroor bataye.

Migraine ek tarah se sir dard hai jo kai baar bahut time taka aapke sir ko dard mein rakhta hai. Yeh sir mein chemicals ke inbalance hone par hota hai. Mausam mein badlav (change) aane par bhi yeh kafi pareshan karta hai. Yeh dard kahi bh ikabhi bhi shuru ho sakta hai, is bimari mein aap tanav (stress), bechanai aur thakaan mehsoos karte hai. Migraine kisi bhi umar mein aapko gher sakti hai. Neeche likhe nuskho se aap is bimari se khus ko rahat de skate hai.

CLICK HERE TO READ: सिरदर्द से बचना है तो इन आहारों का सेवन कम करे

Migraine se bachne ke nuskhe:

  1. Migraine hone par halke haathon se sir ki maalish karwani chahiye. Haathon se sparsh karne se jo araam milega who shayad medicine bhi nahi de sakegi. Sirdard hone par apne kandho aur garden ki bhi halki maalish karwan ichahiye, is se dard mein raahat milti hai.
  2. Ek towel ko garam paani mein dip karke usesir par garden par aur kandho par rakhe, aapko kafi raahat milegi. Kuch logo ko garam paani ke jagah thande paani se araam milta hai, aap ek baar try karke dekhe ke aapko garam pani se araam milta hai ke thande pani se fir aap ussi tarike ka istemaal aage bhi kar sakte hai. Aap chahe to ice cubes ka bhi istemaal kar sakte hai.
  3. Migraine hone par saans lene ki gati ko thoda dheema kar de, shaant baithe aur lambi saans bilkul bhi mat le. Araam se saans lene par aapko dard aur bechani se raahat milegi.
  4. Migraine main dard hone par kapoor ko desi ghee mein milkar sir par halke haathon se kuch der malish karne bhi raahat milti hai.
  5. Makkhan mein mishri k omilkar khaane se bhi aaram milta hai.
  6. Nimbu ke chilke ko peeskar uska lep maathe (forhead) par kagane se migraine ke dard mein bahut araam milta aur migraine theek ho jata hai.
  7. Migraine mein aroma therapy se bhi kahi raahat milti hai. Ismein herbal oil ka istemaal hota hai aur isko air mein aise failaya jata hai ke iski bhaap se aapka chehra aur sir bheeg jaaye taki aap kafi aaram mehsoos kar sakein.
  8. Migraine hone par kamre mein araam se let jaaye aur halka halka music sune, is se aap dard mein rahat mehsoos karenege.
  9. Migraine mein aapko apne khaane peene mein aur lifestyle mein change karna padega. Jyada stress aur bhaag daud wali life jeene se hi migraine hota hai. Jis se aapko doctor ki salah anusar hi chalna padta. Ya fir upper diye nuskhe bhi aazma sakte hai.

Dhanywaad

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

One thought on “Migraine- Sir Dard se Bachne ke Nuskhe

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *