Long se kare kai prakar ke rogo ke ilaaj ke Nuskhe

Long se kare kai prakar ke rogo ke ilaaj ke Nuskhe

Long (clove) khaane ka swaad badane ke hi kaam nahi aata yeh ek aurvedic aushadhi bhi hai jo kai prakar ke rogo ko jadd (root) se khatam kar deti hai. Long ko kewal masale ke roop mein nahi dawai ke roop mein bhi istemaal kiya ja sakta hai. Sari- jukaam se leke gambhir bimariya bhi is se asaan ise kahatam ho sakti hai. To aaiye aaj hum long se upchaar ke nuskho ke bare mein padte hai aura age badte hai.

Long ke prakaar (types of cloves)

Long 2 tarah ke hote hai ek to tej khushboo ya sugandh wala aur doosra neela long. Neele long ke mehak kafi tikhi hoti hai aur swaad mein kafi teekha hota hai. Long ko medicine ke roop mein bhi use kar sakte hai. Dono tarah ke long sehat ke liye ache hote hai.

Must Read: Jeere se Weight Loose Ke Nuskhe

Long ke nuskhe is prakaar hai

Long kai tarah ki bimariyo ke faydemand hai, long sardi jukam mein khaane par infection kam ho jati hai. Long ka tel (oil) muh mein ya daanto (teeths) pe lagane par dard kam hota hai. Khaane ke swad mein to long ka jawab hi nahi, aur ise ulti ya jee michlane par khaane se bhi raahat milti hai.

  1. Paachan kriya (digestion) system ko theek rakhne mein long atti uttam hai.
  2. Pet ke keede maarne mein bhi long kafi faydemand hai.
  3. Sharer mein safed khoon (white blood) badane ke liye bhi long bahut badiya hai.
  4. Asthma ke patient’s ke liye bhi long kafi faydemand hai.
  5. Bhookh badane mein bhi long kafi sahayk hai.
  6. Skin infection hone par long ko ya long ke tel ko chandan powder mein mif karke lagane par kafi fayda hota hai.
  7. Pet mein gas ya acidity hone par long ko paani mein ubaal (boil) karle fir thanda hone par pe le gas aur acidity mein kafi rahat mehsoos hogi.
  8. Muh (mouth) mein badboo (smell) aane par long khaye, durgandh ussi waqt khatam ho jaayegi.
  9. Muh mein chhale hone per long khaane se fayda hota hai.
  10. Bukhar (fever) aur jukam mein long ko peeskar garam pani mein daalkar khaane se yeh infections theek ho hati hai.
  11. Garden mein dard (neck pain), peeth mein dard (back pain) ya gale (throat) mein soojan (swelling) hone par long ko peeskar sarso ke tel mein daalkar halka garam kar le aur uski maalsih kare dard khatam ho jaayega.

To dosto yeh he long ke fayde aur uske nuskhe, umeed hai is se aapko kafi kuch naya pata chala hoga aur yeh baatein aur mera blog Nuskhe.in aap apne dosot ko bh izaroor bataye.

Dhanyawaad.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

One thought on “Long se kare kai prakar ke rogo ke ilaaj ke Nuskhe

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *