Kharab liver aur motape ko bilkul khatam kar dega yeh juice

Kharab liver aur motape ko bilkul khatam kar dega yeh juice

Kharab liver aur motape ko bilkul khatam kar dega yeh juice – Hamara liver hamare shareer ke sabse important body parts mein se ek hai, is par padne wale nuksaan se na aapki sehat balki lambi umar par bhi fark padta hai. Liver ka hamare shareer ke swasth rehne mein bahut hi important role hai. Yeh hamare shareer mein ban ne wala ya flow karne wal khoon ko saaf karta hai aur shudh rakhta hai aur khaana digest karne mein ya khana hajam hone mein kaafi help karta hai.

यह भी पढ़ें :- जानिये योग से जुड़ी ऐसी बातें है जो आप शायद नहीं जानते

Bad eating habits, exercise mein kami ya exercise na karna, cigarette ya sharab ka jyada sevan liver ko bahut effect dalta hai aur liver ke kharab hone ke chance increase ho jaate hai. Isliye time by time apne liver ki safai karte rehna chahiye, jiske liye hum aaj aapko ek liquid drink ke bare mein batane ja rahe jo aapke liver ko hamesha chust durust aur tandrust rakhega.

Har subah uthkar fresh hokar sabse pehle aapko ek spoon olive oil, 1 small lemon lena aur inhe thode paani mein milakar iska juice peena hai. Jab bhi is juice ko lena ho to dhyaan rakhna sharaab, tobacco, oily fatty food nahi khana, aur ho sake to kuch waqt nikaalkar subah ya sham ya dono time exercise karni bhi start kare.

Olive oil se gall bladder aur liver theek se kaam karnege aur pitt ki development karenge. Nimbu ke istemaal se digest system mein kaafi improvement hoti hai aur khaana theek se hajam  hota hai.

यह भी पढ़ें :- सुबह जल्दी उठने की आदत डालें इन टिप्स से

Is juice ko sirf 1 mahine leke dekhiye aapko 1 mahine mein apni sehat par iska sar dikh jaayega. Is se aapki skin aur face ki shine bhi bad jaayegi aur aankhon ke neeche ban ne wale dark circles bhi khatam ho jayenge. Aapka pet bhi sahi rahega aur aapki taaqat aur safurti mein bhi ijaafa hoga.

दादी माँ के नुस्खे, घरेलू नुस्खे gharelu nuskhe in hindi for health, dadimaa ke nuskhe

3 thoughts on “Kharab liver aur motape ko bilkul khatam kar dega yeh juice

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *