Kare yeh 4 kaam nahi lagega kabhi aankhon pe chashma

Kare yeh 4 kaam nahi lagega kabhi aankhon pe chashma

Office ya ghar mein lagataar computer se chipke rehna ya ghanto tak TV dekhne se aankhon mein kai tarah ki problems ho sakti hai. Aankhon mein kisi bhi tarah ki problem aane ka matlab anakhon ki theek se dekhbhal na karna hai. Hum apne saare shareer ko saaf aur sunder rakhte hai par kabhi aankhon ko saaf rakhne ke bare mein socha hai? aankhein hamare shareer ka sabse delicate part hai. Inka dhyan nahi rakhne ka matlab to shayad aapko batane ki zaroorat nahi hai. Aaiye aapko aaj kuch aise nuskhe batate hai jis se aapki aankhein hamesha saaf sunder tej aur bina chashme ke rahengi.

Must Read: Pathri- Stone Se Chutkara Paane ke Nuskhe

आपकी आँखों को ठंडक देगा यह Eye-Mask

  1. Aankhon mein jalan hona, kam dikhai dena ya aankhon mein jaale lagna jaisi bahut bimariya hai jo aage chalke kaafi serious problems ban sakti hai. Jab bhi kabhi aisi koi problem ho to bina der kiye doctor ko zaroro dikhaye nahi to yeh aisi problem hai ke badi ho gayi to kafi problem create karegi. Doctor ke saath saath din mein 2 bara 20-25 baar aankhon par paani ke chinte dalne se aankhen thandi rehti hai aur theek se kaam karti hai aur so sake to saal mein kam se kam 2 baar eye docorko jaroor dikhaye.
  2. Anakhen swasth rahe aur chashma ya lens na lage to iske liye kuch savdhaniya baratni bahut jaroori hai. Jab bhi anakhon kea as paas makeup ya kajal lagaye to towel se saaf karte hue ho sake to garam paani se saaf kare who bhi halke haathon se is se aankhen bhi theek rahegi aura as paas ki skin bhi rough nahi hogi. Letkar ya andhera karke tv na dekhe, yeh choti choti cheejein kab gambhir roop mein aa jaye pata nahi chalta.
  3. Depression, stress, der raat tak jagna in sab se bhi aankhon ke roshni pe fark padta hai. In sab se bache exercise kare, pooja path kare chinta, tanav aur anidra se bachne ke liye. Aankhon mein jalan ho ya dhoop lagne se bachne ke liye 2 rumal baraf wale paani mein bhigo ke aankhon pe aur anakhon kea as paas rakhe, is se aankhon ko thandak milegi. Sham ko ya raat ko ghar aane par bhi yeh nuskha apna sakte hai, is se anakhon thandak ke saath saath araam bhi milega jo thaki hui aankhon ke liye bahut jaroori hai.
  4. Aankhon ko healthy rakhne ke liye apne khaane peene ki aadto par bhi vishesh dhyaan dene ki zaroorat hai. Apne khaane mein Vitamin A aur C adhik khaaye, green vegetables, chicken, milk ko apne khaane mein add kare. Is se aankhon pe spec nahi lagti aur aankhon ki bimariya hone ki sambhavna kam ho jati hai.

यह काजल Eye-Liner आपकी ख़ूबसूरती में चार चाँद लगा देगा

To dosto yeh the kuch aise nuskhe jinse aapki aankhein bhi theek rahegi aur chashma bhi nahi lagega. Umeed hai is se aapko zaroor fayda hoga, ab mera bhi thoda fayda karwao meri website Nuskhe.in facebook, twitter pe share karo.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi,eye care tips in hindi, how to improve eyesight, eye treatment in hindi

2 thoughts on “Kare yeh 4 kaam nahi lagega kabhi aankhon pe chashma

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *