Jawani mein udane lage sir se baal to aazmaayein yeh Nuskhe

Jawani mein udane lage sir se baal to aazmaayein yeh Nuskhe

Aajkal ki hectic lifestyle mein jawani mein hi sir se baal udne lage ya ganjapan aane lage ya adhik baal udd jaana ek aam si problem banke reh gayi hai. Bahri khana, ghar ka oily khana, jyada cold drink peena, sharab, cigarette pina, yeh baal jhadne ki main problem hai. Aaj hum batate hai aapko kuch aise nuskhe jo aapke ganjepan ki samasya ko door kar denege. Aap inhe khud bhi aajmayein aur auro ko bhi bataye aur meri website Nuskhe.in bhi sabko jaroor bataye.

Must Read: Safed Baalo ko fir se kare gharelu Nuskho se Kaale

यह भी पढ़े:- बालों के लिए कौन सा शैम्पू  है बढ़िया

Click Here to Buy:- Dabur Almond Hair Oil for Damage Free Hair – 500 ml

  1. Jyada namak khaane se bhi ganjapan badta hai. 1-1 spoon Pissa hua namal aur kali mirch ko coconut oil ke 5 spoon mein achche se mix kar le aur sir ke ganje wale hisse mein yeh paste lagaye aur kuch der laga rehne de. Aise thode din kare, jaha par baal nahi hai waha fir se baal aane start ho jayenge.
  2. Kalonji ko piskar paani mein mila de, is paan ise baal achche se dhoye, aise kuch dino tak kare dekhna baal jhadne band ho jayenege aur baal fir se ghane hone shuru ho jayenge.
  3. Agar sir mein kahi se jyada baal udd gaye ho to waha pe nimbu ko ragde aur kuch din lagata aisa karte rahe, kuh din fir se waha baal aane lagenge.
  4. Jaha se baal udd gaye hai waha pyaaj ka ras lagane se baal wapis aane lagte hai.
  5. Baalo mein neem ka oil lagane se bhi baalo ka jadna kuch hadh tak kam ho jata hai aur baal fir se ghane hone lagte hai.
  6. Baal jhadte ho to jaitoon ka oil garam kar le aur ek spoon shahad (honey) aur dalchini mein mix karke iska paste bana le. Nahane se pehle 15 minute tak isko sir pe lagake rahe, fir baal garam paan ise dho le. Aisa kuch din karne ke baad aapko baalo ke jhadne ki problem theek ho jaayegi.
  7. Lahsun khaane se bhi baalo ki problem theek ho jaati hai.
  8. Udad ki daal boil karke peeskar iska lep sir pe lagaye 10-15 minute baad sir saaf kar le baad jhadne ki problem se chutkara milega.
  9. Dhaniya ka lep lagane se baal wapis aane lagte hai.
  10. Anaar ke patte (pomgrnate leaves) paani mein peeskar sir mein lep lagane se ganjapan soor hona start ho jaayega.

यह भी पढ़े:- बालों के लिए कौन सा तेल है उत्तम

To dosto yeh the kuch nuskhe sir pe baalo ko wapis lane ke aur bache hue baalo ko bachne ke liye.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi,hair care in hindi, hairstyles in hindi, hair care in hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *