Jaaniye kitne prakaar ke hote hai Dil ke Rog aur jaaniye Dil Ke Rog ke Ilaaj ke Nuskhe

Jaaniye kitne prakaar ke hote hai Dil ke Rog aur jaaniye Dil Ke Rog ke Ilaaj ke Nuskhe

Dil ke rog kai prakaar ke rogo ka samooh (group) hota hai ismein blood pressure, motapa, high cholesterol aur tanaav (stress) kuch main kaaran hai, jinke kaaran dil ko khoon bhejne wali nase (weins) damage hoti hai aur dil ki problems ki shuruat hoti hai. Dil se related 60 tarah ki problems hoti hai, aaiye jaane inmein kaun kaun si problem main hoti hai jo normally sabhi heart ke patients ko hoti hai. To khud bhi padiye aur meri website Nuskhe.in ke pages apne dosto ko bhi share kijiye.

Must Read: Dil Ki Dhamniyo Ke Rog Ke Nuskhe

Dil ki dhamni ke rog: dil ko khoon ki supply karne wali nasso (weins) ka damage hona.

Angiena Pectoris: Dil ko poori tarah se khoon na pahunchane par chaati mein dard, kadakpan aur bechani hona.

Cardimayopathy:  Blood ko pump karne wali heart ki muscles ka kamjor (weak) hona.

Janamjaat dil ke rog:  Dil ki banawat aur karya karne ki kshamta mein janamjaat problem hona.

Cardiac Atalta: Dil ko supply hone wale khoon dheema karta hai jis se yeh problem hoti hai.

Atriyal Fibrillation:  Teji se khoon ka dil tak pahunchana dil ki dhadkan aur nasso ko nuksaan pahunchata hai.

Heart ki soojan (swelling):  viral (fever) hone ke kaaran kai baar dil ke tissue damage ho jaate hai jis se yeh problem hoti hai.

Myocardial Infection: Blood vessels ke sikudne (shrink) hone se dil ko milne wale khoon ki supply ruk jati hai yak am ho jati to heart attack hone ka khatra bad jata hai.

Iskimack Heart Infection: Blood vessel mein halki halki badha hone se dil ko khoon kam phaunchta hai jis se yeh rog uttpan hota hair heart attacka ka khatra bad jata hai.

Dil sambandhith rogo ke lakshan: Dil se related rog ko silent killer ya dheemi maut bhi kehte hai, kyonki yeh dheere dheere badti hai. Iske starting ke lakshan hai- Saans lene mein takleef hona, chest pain, legs mein soojan (swelling), thanda pasina (cold swet), thakaan hona, neend nahi aana. Aisa ho to jaldi se jaldi heart ke doctor ko dikhaye aur apne blood test, x-ray aur ECG jaise test karwake apne dil ki problems ka pata lagwaye.

Kuch Desi nuskhe dil se judi bimairyo ke liye is prakaar hai-

Anar- Pomegranate:  Anar khaane se dil ki dhmaniyo mein wastage ki parat (layers) nah ibanti. Yeh khoon mein Nitric Oxide ko uttejit (attract) karta hai jis se khoon ki dhamniya nahi sikudti aur blood pressure bhi normal rehta hai.

Chiya Seeds: Inse Fiber aur Alcohlic Acid hota hai jo blood pressure, cholesterol aur Tryglisrites ko control karta hai.

Tamatar (Tomato): Tomato ka laal rang antioxidant hai, jo bad cholesterol mein antioxidant ko kam karta hai. Dhamniyo ki dewaro ki bhi yeh kafi care karta hai.

Lahsun (Garlic): Dil ke liye ramban hai lahsun, yeh infection aur cancer ka dushman hai. Lahsun mein Alicin hota hai jo cholesterol ko kam karta hai. Clots nahi ban ne deta aur blood pressure ko bhi control mein rakhta hai.

Seb (Apple): Har roj ek apple khaaye aur doctor ko door bhagaye, yeh kahaavat to aap sabne suni hogi, kyonki seb mein pectin hota jo cholesterol ko ghata hai aur dil ki dhamniyo ko khula rakhta hai jis se dil chust durust rehta hai.

Daalchini: Har roj 1 spoon daalchini chai (tea) mein mix karke le, is se cholesterol ka level kam hota hai aur yeh antioxidant ki jaroorat ko bhi poora karta hai.

Soya:  Soya ek saturated fat aur blood cholesterol ko kam karta hai. 25 gram soya protein ko roj khaane mein lene se high cholesterol kam hota hai.

Hari Sabjiyan (Green vegetables): Insmein sabse jyada antioxidant hota hai, jo cholesterol ka level bahut jaldi kam karta hai. Green vegetable mein fiber, folet aur potassium bhi hota hai jo blood mein se amilo acid ko level kam karta hai.

Phaliya (Beans): Phaliyo mein fiber bahut hi adhik matra mein hota hai. Yeh sabse jaldi aur sabse jyada bada source hai cholesterol ko kam karne ka kyonki yeh ek ghulne (melt) wala fiber hai. 1 hafte mein 3-4 baar phaliya jaroor khaaye, sehat theek rahegi.

Haldi (Turmeric): Haldi mein curcumin hota hai jo dil ki care karne ke liye bahut jaroori hota hai. Yeh dil ki dhamniyo mein fatty acids kobhi kam karta hai.

Sukhe Meve- Dry fruits: Dry Fruit jaise ki akhrot, kaju, badam in sab mein saturated fat kafi matra mein paya jata hai. Ismein Vitamin-E, magnesium, Copper aur phytochemicals hai, jo dil ko tandrust rakhte hai. Yeh sab joints ke dard mein bhi kafi laabhkari hai.  Kai researches mein paya gaya hai ke dry fruits dil ki raksha mein kafi help karte hai. Iske alawa YOGA kare, smosking chor de aur shareer ko hilate dulate rahe yani ke exercise karte rare, inchi cheejo se dil ke rog se muqabla kiya ja sakta hai ya bacha ja sakta hai.

To dosto yeh the kuch nuskhe dil ko majboot banana ke aur dil ki problem jan ne ke, umeed hai is post se aapko aane wale khatre ka pehle se hi ehsaas ho jaayega aur ilaaj bh iwaqt rehnte jaldi ho jayega, jis se yeh bimari kisi ko bhi aur jyada tang na kar sake.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi,heart attack symptoms in hindi, home remedies for chest pain, medication for heart disease

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *