Jaaniye 5 Asaan Tarike Body Banaane ke

Jaaniye 5 Asaan Tarike Body Banaane ke

5 Asaan Tarike Body Banaane ke

Apni Diet Mein Calories Kam Kare:-

Aapne sehat ya body banaane ko lekar chahe jitney marji article kyon na pade ho aur aapki kitni hi knowledge kyon na ho, par jab tak aapne yeh rules nahi jaane to aap body banaane ya 6 pack abs banaane ke bare mein kuch bhi nahi jaante. jis din se aap gym ya abs banaane start kare ussi din se apna ek table bana le ke aap poore din mein kitni calories le rahe hai. Youngsters ke liye ek din mein 2500-2800 calories kaafi hoti hai aur ladkiyon ke liye yeh 1800-2000 calories per day hoti hai. ab is baat ka hamesha dhyaan rakhe ke jis din se aapne gym start kar diya ya abs banaane start kar diye ussi din se aapki apni calories ka sirf 1/3 lena hai yani ke 2500-2800 ki jagah 800-1000 calories per day only. Aur baaki ki diet ko poora karne ke liye protein diet add kare jo body building ke liye kaafi important hai.

Click Here to Buy:- MuscleBlaze Raw Whey Protein – 2.2 lb/ 1 kg,33 Servings (Unflavoured)

यह भी पढ़ें :- अगर वजन घटाना हो तो रात में भूख लगने पर खाइये यह स्नैक

Add cardio in Your Exercise or Gyming

Jab tak aapki body par ya stomach par charbi/fat rahega tab tak na aapke abs banenge na hi body isliye apki exercise mein cardio exercise ok zaroor shaamil kare jo ke aapki calories ko khatam karne mein aapki help karegi aur aapki fitness level bhi increase karegi. Cardio mein rassi kudna (skipping) cycling, fast walk aur jogging jaisi exercises shaamil hai.

Body Health Tips In Hindi Language – स्वस्थ रहने के लिए उपाय

Apni Diet/ Khaan Paan Par Kare Control

Kai aise body builders bhi hai jo zaroorat se jyada exercise bhi karte hai result fir bhi theek se nikal paata hai. iski ek hi wajah ho sakti hai diet yaani ke aapka ahaar. Aapko gyming ya body building ke waqt roti, chaawal, aloo, arbi jaisi diets ko kam karna hota hai. in sab cheejo dopahar ke baad na le kyonki inki hajam karne mein kaafi waqt lagta hai. Ho sake to dopahar ke khaane mein salad ko add kare, yeh aapke shareer ke liye jaroori tatvo ko aapke shareer ko pradaan karta hai. Oily food, fried food, butter, cold drink, coffee, tea, whisky, smoking jaisi cheejo ko band karna padta hai aur agar khujli ho hi rahi hai to hafte mein 1 baar apni in diets ki khujli mita sakte hai.

Khaane Mein Protein Ka Jyada Prayog Kare

Bina protein liye body banana bahut hi mushkil ya kahe namunkin hai. Proteins hamare shareer mein muscles aur tissues ko nutritions aur energy pahunchata hai. Kuch acche supplements aur protein shakes bhi acchi body banaaane mein bahut badiya result dene mein helpful hote hai. Par inko khaane se pehle apne coach ya kisi dietitian se salaaah zaroor le le. Doodh, soya, paneer, pista, grains mein bhi protein kaafi adhik maatra mein paaye jaate hai.

Khoob Paani Piye- Drink Plenty of Water

Din mein 7-8 liter paani zaroor piye, yeh aapke shareer mein khoon ko patla banay rakthi aur blood flow bhi theek rehte hai. Paani peena swasth rehne ki pehli seedi (stair) hai. Khaana khaane ke kam se kam 40-50 minutes baad hi paani piye. Ho sake to din mein 1-2 glaas garam paan izaroor piye, yeh shareer se extra fat nikalne mein kaafi help karta hai.

Apne Shareer ki Asli aur Nakli Bhookh ko Pehchaane

jab bhi aapko bhookh lage to khaane se pehle ek glass paani zaroor piye. kai baar shareer mein paani ki kami se bhi humein bhookh ki feeling aane lagti hai aur agar bhookh asli hai to aapki diet mein paani ki wajah se kami aa jaayegi aur yeh fat kam karne mein kaafi helpful rahega. To is baat ka dhyaan rakhe ke jab bhi bhookh lahe to paani zaroor piye taki asli bhookh aur nakli bhookh ki pehchaan ho sake.

यह भी पढ़ें :- अगर स्वस्थ रहना चाहते हो तो रात के डिनर में यह 7 चीज़ें जरुर खाएं

Click Here to Buy:- Kore K-DM-20kg-Combo 16 Home Gym and Fitness Kit

Shareer Ke Sirf Ek Hisse Par Jyada Focus Na Kare

60% naye body builders yahi galti karte hai we apne shareer k eek hi body part par jyada focus karte hai especially biceps ya chest pe ke yeh ban jaaye bas kaafi hai ya baaki ko baad mein dekhnge. Agar muscles banana chahte ho to shareer ke har body part pe ek jaisi mehnat karni padegi nahi to body ek taraf se jyada shape mein aa jaayegi aur ek taraf se bigad jaayegi. Aise mein muscular body ki jagah aapki body ek majak banker eh jaayegi. isliye aakhir mein main yahi kehna chahunga ke body banana, muscles banana, six pack banana isse kaam na samjho yeh aapka shareer aapka mandir hai iski izzat karna sikho.

home remedies in hindi, घरेलू उपचार, 5 Asaan Tarike Body Banaane ke, घरेलू नुस्खे, 5 Asaan Tarike Body Banaane ke

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *