Haldi – jaaniye haldi ke sehat theek rakhne ke saste aur asaan nuskhe

Haldi – jaaniye haldi ke sehat theek rakhne ke saste aur asaan nuskhe

  • Haldi ke istemaal (use) se shareer ki rogo se ladne ki taqat badti hai.
  • Liver ki problem mein haldi bahut hi upyogi hai.
  • Face pe daag dhabbe ya jhaiya hone par iske facepack se in sab problems se chutkara milta hai.
  • Khaansi hone par ya gala kharab hone par haldi bahut laabhdayak hai.

Dosto ek aisa masal hai jo khaane mein daalne se shareer ki sabhi prakaar ki bimariyo mein kami aa jaati hai, cancer jaisi bimariya bhi se se bach nahi paati hai. Haldi kachi ho ya pissi hui yeh bahut hi faydemand masala hai ya keh lo aushadhi hai. Aaiye aaj main aapko haldi ke kuch aise nuskhe batata hoon jo ek bimar aadmi ko fir se ghode ke jaisa tagda bana dega.

Haldi ke saste aur bahut hi asaan nuskhe is prakaar hai:

  1. Chehre par pade daag, dhabbe aur jhaiya mitane ke liye haldi bahut hi faydemand hai. Haldi aur dahi (curd) ko mix kar le aur paste bana le aur nahane se kuch der pehle laga le aur 10-15 minute baad muh dho le. Hafte mein 1-2 baar yeh paste lagane se chehre mein fir se nikhaar aa jaayega.
  2. Haldi aur doodh ko mix karke chehre pe lagane se bhi chehre ki chamak fir wapis aa jaati hai aur chehra saaf ho jata hai.
  3. Liver se related problems mein bhi haldi bahut faydemand hai, thodi si haldi halke garam doodh mein rojana lene se liver ki problems mein kaafi araam milta (Note: jinko patthari ki problem hai who na le).
  4. Sardi, khansi ya jukam (cough or cold) hone par kacchi haldi halke garam paani ke saath lene par araam milta hai, jo log isse nahi pi sakte to woh chahe to halki si mishri ya chini bhi mix kar sakte hai (Note: Sugar ke patient dekh ke le).
  5. Pet mein keede hone par thodi si haldi aur thoda sa namak milakar roj subah khala pet (empty stomach) 7-10 din tak subah khaali pet halke garam paani ke saath le keede khatam ho jayenge.
  6. Agar kisi ke shareer par kahi bhi anchahe baal aa gaye ho to woh garam coconut oil mein haldi daalkar uska paste banale aur baalo wali jagah par laga le, aisa karne se anchahe baalo se naturally chutkara mil jaayega.
  7. Burned/ tand skin mein haldi powder, badam ka powder aur dahi mix karke paste bana le aur thoda fridge mein thanda kar le aur fir uss tanned jagah par lagaye, is se thandak bhi milegi aur skin fir se nikhar jaayegi aur kaali skin khatam ho jaayegi. Yeh ek tarah se sunscreen lotion jaisa hi kaam karegi par desi tarike se.
  8. Muhh mein chaale hone par haldi ko garam pani mein mix karke kulla (gargle) kare, aisa kuch baar karne se muhh ke challe theek ho jayenge.
  9. Chot lagne ya moch aane par ya andruni chot lagne par din mein 1-2 baar haldi ka doodh piye (garmi ke mausam mein ½- ½ glass hi piye) is se androoni chote jaldi theek ho jaayengi.
  10. Khoon saaf karne mein bhi haldi kaafi kaam aati hai, rojana ya hafte mein 3-4 baar garam paan iya doodh mein haldi lene se khoon saaf hota hai aur rog se ladne mein yeh nuskha kaafi kaargar hai.

CLICK HERE: Jaaniye LONG (CLOVES) Ke Kuch Nuskhe

Haldi mein aur bhi bahut gunn hai jo main apni aane wali kisi post mein aapse jaroor share karunga, tab tak inhi nuskho ko aajmayein aur swasth rahe.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, dadi maa ke nuskhe in hindi,gharelu nukshe in hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *