Garbhpat se judi important Information

Garbhpat se judi important Information

important Information- Ek baar agar garbhpat ho jaaye to agli baar pregnancy se pehle planning aur kuch saavdhaniyo ka hona bahut jaroori hai.

Kuch ladies garbhpat jaisa kadam isliye uthati hai kyonki we garbhdharan ke liye ready nahi hoti hai. Jabki kuch mahilaye kisi physical problem ki wajah se bhi yeh strick decision leti hai. Agar koi mahila pregnant hai aur wah baccha nahi chahti hai to garbh ke 20 weeks tak conception karwa sakti aur yeh india mein legal bhi hai.

1 month ke andar ghar par aise kare natural conception. Agar aap bhi kisi anchaahe garbh ke bare mein soch kar pareshaan hai ya fir aap garbhpaat se judi technical baatei jan na chahte hai. To fir garbhpaat ki is asaan article ko zaroor padhe. Kyonki india mein har ghante mein 1 mahila ki death unsafe garbhpaat se hoti hai.

यह भी पढ़ें :- सावधान गर्भवती महिलाये ना खााएं यह खाद्य पदार्थ नहीं तो सकता है बेबी मिसकैरेज

Garbhpaat ke baad fertility hona bahut mushkil hota hai, to agli baar pregnancy se pehle planning aur kuch saavdhaniyo ka hona bahut zaroori hai. is purush pradhaan samaaj mein bête ki chaah rakhne wali families mostly garbhpat ka step uttha hi lete hai. isliye hamare desh mein girl child killing aur garbhpaat jaisi cheejo par rok lagani hogi taki ling anupaat ko normal laya ja sake.

Lekin fir bhi kuch situation mein womens or girls ka bina problem ke garbhpat karwane ka legal adhikaar hai. Agar lady ka jabardasti kisi ne yan shoshan kar diya ho aur wah bache ko janam nahi dena chahti hai to wah garbhpat karwa sakti hai kyonki aisa na karne par us mahila par bache ko janam dene par mentally ya physically saari umar jhelni pad sakti hai,

Agar yeh pata lag eke garbh mein pal rahe bache ki growth theek dhang se nahi ho tah hai to usse 9 mahine tak garbh mein rakhna sahi nahi hai, to aise mein wo lady garbhpat karwa sakti hai, isse medical language mein termination of pregnancy kehte hai.

Kya hai medical termination of pregnancy?

MTP prakriya, jis mein doctor ki dekh rekh mein garbhpat ko anjaam diya jata hai. Isko har doctor anjaam nahi de sakta hai. Sir experienced gyeconologist ya sirf wo doctor jinhone MTP ki training li hoti hai. Kewal wo garbhpat kar sakte hai, kyonki we jaroorat padne par apne anubhav ke bal par situation ko control kar sakte hai.

2 tarike se hota hai garbhpat.

Pills- important Information

Is tarikee se abort karne ke liye sab se pehle yeh dekha jata hai ki kitne month ka bhroon ukt mahila mein bana hua hai. Agar wah garbh 6 se 8 hafte ke beech hai to usse medicine se remove kiya ja sakta hai. Iske liye doctor ultrasound report ko check karte hai.

Surgery- important Information

Ismein patient ko behosh kiya jata hai. Isse tab kiya jata hai jab garbh 8 hafte se jyada ka ho chukka hota hai. Kyonki iske baad pills ka asar nahi hota hai ulta aur problem aa sakti hai. Isse dilation and crutose process kaha jata hai. Ismein aap doctor ki bigrani mein rehte hai aur aap ko proper care milti hai. Isse safe process mana jata hai.

Expert ki nazro mein karwaye surgery- important Information

garbhpat ke liye chemist se dawai lena dangerous ho sakta hai kyonki aap internal stage aur level sirf doctor hi pata laga sakta hai chemist nahi aur aise mein bina doctor ki consult ke medicine lena aapke liye khatarank ho sakta hai aur aapki jaan bhi jokhim mein pad sakti hai. Kabhi kabhi bleeding hone se situation out of control bhi ho sakti hai. Isliye jaroori hai ke doctor ki suggestion ke bina koi dawai na le.

यह भी पढ़ें :- सुस्ती और थकान बढ़ने के 9 कारण और इन्हे दूर करने के नुस्खे

Garbhpat ke baad rakhe in baton ka khyaal- important Information

Is time mein heavy things uthane ya jhukne ki bhul bilkul bhi na kare, aise time mein heavy work karne se parhej hi kare. Kisi bhi nashile padarth ka sewan bhulkar bhi na kare. Dieting na kare, kyonki is dauraan long time tak bhookhe rehne se sehat par bura effect pad sakta hai. ekdum se sex na kare, koshish kare ke pregnancy mein sex kare hi nahi kyonki aisa karne se pregnancy mein khatra bad sakta hai.

Is time mein aap jitna fruits and vegetables khaayengi, accha sochengi, rest karengi. Utna hi aapke liye aur bache ke liye badiya rahega (agar bacha rakhna hai to).

PCOD-

Over valuation mein kami, irregular periods aur mens ke hormone mein growth se. PCOD motapa aur inferlity seedhe ek doosre se related hai. PCOD se infected lady kuch kilo weight reduce karne pregnant ho sakti hai.

garbhpat ke baad pregnancy?

Kai mahilao ko pregnancy ke baad shak hi rehta hai ke dobara pregnancy hogi ya nahi. Par ek baar garbhpat ke baad dobara pregnancy hone ki possibilities par tension hona natural hai. Par truth yeh hai ke agar garbhpat karne wala doctor experienced hai to aap us  doctor ki dekh rekhe mein is problem se 100% theek wapis aa jaaoge aur aise mein dobara pregnant hona bhi mushkil nahi hota hai.

nuskhe, आयुर्वेदिक उपचार, desi health tips in hindi , gharelu nuskhe in hindi for health, dadimaa ke nuskhe, ayurvedic gharelu upchar in hindi, important Information

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *