Dil ko swasth rakhne ke 7 nuskhe | 7 Tips for healthy heart

Dil  ko swasth rakhne ke 7 nuskhe | 7 Tips for healthy heart

  1. Green tea ka prayog karna shuru kare:- ismein antioxidants hote hai jo aapke cholesterol ko kam karte hai, aur yeh blood pressure control karne mein bhi kaafi helpful hoti hai. Ismein kuch aise tatva bhi paaye jaate hai jo cancer growing cells ko khatam karte hai. Yeh abnormal blood clotting ko bhi rokti hai jis vajah se strokes ki bimari hone ki aashanka kam ho jaati hai. CLICK HERE TO READ: Jaaniye Heart Attack ke Kaaran, Lakshan aur Nuskhe, khud bhi bache aur doosro ko bhi bachaye
  2. Olive oil ka istemaal karna shuru kare:- khana banana mein jaitoon ka tel use karna shuru kare, ismein maujood fat bad LDL cholesterol ko kam karne mein sahayak hote hai. Olie oil mein bhi anti oxidant hote hai jo anya bimariyo se ladne mein kaafi helpful hote hai.
  3. Khaane mein fiber ko shaamil kare: scientific research ke anusaar yeh prove ho chukka hai ke aap khaane mein jitna jyada fiber lenge utna hi aapke chances hai ke aap heart attack se bache rahenege, fiber kabaj hone se bhi rokti hai jaha se sabh ibimariya start hoti hai. Jyada se jyada beans, soups, juice aur saled ka khaane mein prayog kare. Agar meat ke shaukeen hai to uski jagah sea food khaana prefer kare.
  4. Breakfast mein fruit khaaye ya fruit juice le (dibbe wala nahi):- Orange juice mein folic acid hota hai jis se heart attack ke khatre ko kam kiya ja sakta hai. Angoor juice ya grape juice mein flavonoids aur resveratol namak padaarth hote hai jo dil ki artery block karne wale clots ko kam karta hai. Juice fresh hi le , market wala juice to juice kam chemical jyada hota hai , unmein sirf 12-15% hi juice hota hai.
  5. Rojana exercise, walk aur running kare:- yadi aap daily kam se kam 20 munites exercise karte hai ya walk karte hai light running karte hai to aapko heart ka khatra 33% tak jyada khatam ho jata hai. Waise in sab activities se aapka shareer chust durust rehta hai aur body fresh rehti hai. CLICK HERE TO READ: Dil ki dhamni ko theek karne ke nuskhe
  6. Khaane mein lahsun (garlic) ka istemaal shuru kare: research mein paya gaya hai ke lahsun khaane se blood pressure kam rehta hai aur yeh cholesterol ko bhi kam karta hai saath hi blood sugar level ko bhi control mein rakhta hai. Lahsun sabse sasta ilaaj hai heart problem ka.
  7. Poori neend le:- neend se hi sehat pe asar panda shuru hota hai, isliye apni neend poori le 6-8 ghante ki neend bahut jaroori hai khaas karke 35-40 ki age se upper ki umar ke logo ke liye. Poori neend na lene se body se stress hormones nikalte hai jo shareer mein maujood dhamniyo k oblock karte hai aur shareer mein jalan paida karte hai aur shareer garam hota hai fir stress badta hai jis se dil ki bimariya aani shuru ho jaati hai.

To dosto yeh the kuch nuskhe dil ki bimariyo se bachne ke liye, umeed hai aap acchi sehat aur acche jeevan ke liye inka strictly follow karenge.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, दादी माँ के नुस्खे , देसी नुस्खे,heart attack symptoms in hindi, home remedies for chest pain, medication for heart disease

One thought on “Dil ko swasth rakhne ke 7 nuskhe | 7 Tips for healthy heart

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *