Aankhon par computer or mobile se hone wale dard aur jalan ko kaise kam kare

Aankhon par computer or mobile se hone wale dard aur jalan ko kaise kam kare

Aankhon par computer or mobile se hone wale dard – Hum mein se kai log apna saara din computer ya mobile ko istemaal karne mein laga dete hai. Jis se hamari aankhon par bahut zor padta hai. Is se kuch arse baad hamari aankhon ki sehat par bahut bura effect padta hai, aur aankhon par zor aur bhi zyada padne lagta hai. Aaiye jaaniye aisi hi kuch problems aur unke nuskhe jo hai hamari aankhon ke liye bahut hi zaroori.

  • Jyadader tak computer ya mobile chalane se aankhon par bahut stress padta hai aur aankhein aur sir heavy lagne lagta hai. Almost 25% computer and mobile operators ko aankhon par stress aur pain ko jhelna padta hai. Yeh aapko uncomfortable aur pareshaan kar deta hai. Ek research se pata chalta hai key eh slow slow problem ko badata aur agar iska ilaj waqt rehte nahi karwaya to yeh kaafi serious probem ban jaati hai.

CLICK HERE TO READ:  आंखों की रोशनी बढ़ाने के लिए जानिये क्या खाना चाहिए 

 इस्तेमाल करे इस Eye-Drop का और रखे आँखों को तेज हमेशा

  • Is problem ka bad effect bahut jyada hota hai. Agar aap din mein kai ghanto tak mobile, latppo , computer use karte ho to beech beech mein aanko k orest zaroor de, ho sake to 1-1 ghante baad apni aankhon k ohalka halka rub kare aur din mein 3-4 baar aankhon ko wash kare (chinte de). Apni aankhon ko left-right, upper-neeche ghumaaye. Aankhon ko poora open kare. Yeh process din mein 2-4 baar zaroor kare.
  • Aankhon par padne wala stress seedha aapki eyesight ko effect karta hai. Jis se insaan ki energy aur performance par kaafi fark padta hai. Is se insaan ki personal life mein bhi problem aa sakti hai. Jyada der tak in cheejo ke istemaal se aapki anakhen laal rehne lagengi, aankhon mein khujli hone lagegi, neck pain, dhundhla dikhna aur aisi kai problems ho sakti hai. Isliye exercise bhi zaroor kare. Subah subah ghaas par nange pao chale. Kapde ko geela karke aankhon par rakhe aur 2-4-5 minutes lete rahe (din mein 1-2 baar zaroor kare).

 

  • Pollution se aankhon ko bachaye, 2 wheeler chalate hue hamesha specs ya gaugles lagakar hi drive kare, aur ghar ya office mein traveling ke baad aankhon ko zaroor wash kare. Sun light mein black gaugles lagakar rakhe. Saal mein kam se kam 1-2 baar eye specialist doctor ko zaroor checkup karwaye. Doctor k odiye 500-1000 aap apni aankhon ki roshni ko hamesha banaye rakhne liye de rahe jo ki precious eyes ke saamne kuch bhi nahi hai.
  • Khud ko in electronic gadgets se chipkaaye na, technology aapki zindagi ko asaan banaane ke liye hai mushkil banaane ke liye nahi. Isliye samajhdaari se hi inka istemaal kare. Agar yeh aapki job ya business hai to inka use wisely kare, yeh na ho kal ko aapke saath kuch aisa bura ho jo aapke siwaye guilty ke kuch nahi de sakega.
  • Insaan haath-pao ke bina to reh sakta hai, par bina aankhon ke………. Ab main kya bolun aap khud hi samjhdaar ho..

आपकी आँखों को ठंडक देगा यह Eye-Mask

Aankhon par computer or mobile se hone wale dard , eye care tips in hindi, how to improve eyesight, Aankhon par computer or mobile se hone wale dard,

One thought on “Aankhon par computer or mobile se hone wale dard aur jalan ko kaise kam kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *