Aankhon ki roshni badhaye in 11 diets se

Aankhon ki roshni badhaye in 11 diets se.

Aankhon ki roshni badhaye in 11 diets se

Hum sab log apne chehre ka, shareer ka to bahut khyal rakhte hai par kabhi aankhon ki taraf bhi dhyaan diya hai ? nahi to dena shuru kar dijiye, kuch jyada nahi karna hai bas neeche di hui diet ko follow karna hai, who bhi jab marji, koi time schedule nahi hai.

Hamesha choti choti baton ka khyal rakhiye, dhool mitti se aane ke baad apni aankhen dho lijiye. Kuch vitamins and minerals bhi aankhone ke liye bahut badiya hote hai, aap inhe kha bhi sakte hai ya inka juice bhi pi sakte hai. Inse aankhon ko araaam aur taqat to milegi hi saath saath mein shareer ko energy bhi milegi. To aaiye aaj jaante hai aise kuch diets aur juices ke bare mein jinse hum eyesight ko hamesha ke liye theek rakh sakte hai.

इन 7 हेल्दी फूड में है शुगर की ज्यादा मात्रा जो है आपके लिए हानिकारक

इस्तेमाल करे इस Eye-Drop का और रखे आँखों को तेज हमेशा

  1. Badaam doodh- Almond Milk:- hafte mein kam se kam 2-3 baar badaam ka doodh zaroor piye, ismein vitamin E hota hai jo aankhon ke liye bahut hi uttam mana gaya hai. Iske pine se skin mein bhi nayi shine aati hai. Aap chahe to ismein 1-2 daan black pepper bhi peeskar daal sakte hai.
  1. Gaajar Juice:- Carrot Juice:- Gaajar sardiyon ke dino mein sabse badiya source hoti hai taaqat ka. 4-5 glass juice to hafte mein kam se kam bante hi hai. Aap chahe to ismein coconut aur 1 spoon honey bhi add kar sakte hai, hum to amla aur chakundar daalkar bhi peete hai.
  1. Saunf:- Saunf ke daano raat ko paani mein bhigo ke rakh de aur subah khaali pet who paani pi le aur chahe to saunf bhi kha sakte hai. Aisa kam se kam 2-3 baar hafte mein ya 8-10 baar mahine mein jaroor kare.
  1. Aamla Doodh:- Aamle ka doodh bahut hi healthy mana gaya hai. Isse khaali pet peena chahiye. Yeh aankhon ki roshni ke saath shareer ko taqat bhi deta hai aur kaafi bimariyo ke ilaaj mein aamla istemaal kiya jata hai aur is se weight loss bhi hota hai.
  1. Arandi Oil Drops:- Arandi ke tel ki 1-1 drop aankhon mein daalne se aankhon ki roshni badti hai (doctor se poochkar hi kare).
  1. Vitamin E Food:- Badam, Gaajar, Eggs, Sunflower Seed, papita. Yeh sabhi Vitamin ke sources hai. Inko khaane se aankhon ki roshni hamesha hi badiya rehti hai. Isliye inko khaane ki aadat daal le to behtar hoga, inhe apni daily diet mein add kare, kabhi kuch khaaye aur kabhi kuch, taste bhi bana rahega aur mann bhi karta rahega khaane ko.

यह भी पढ़ें :- ये 10 आहार नाइट घटाएं शिफ्ट में करने वाले लोंगो में मोटापा

  1. Vitamin A Food:- Amrood, santre, anna-naas, laal aur hari mirch aur shimla mirch yeh sab vitamin A ka ek bahut badiya source hai, inko khaane mein istemaal karte rahe, kabh ispecs nahi lagengi aankhon par.
  1. Vitamin C Food:- Tarbooj, doodh, tomato, angoor, lemon, amla. In sab mein vitamin C hota ha. Yeh aankhon ko thanda rakhta hai, diet mein shaamil kar lo aur aankhon ke doctor ko bhool jao.

Dosto yeh the kuch bahut hi saste aur asaan nuskhe aankhon ki sehat ke liye. Umeed hai aap inhe istemaal karenge aur 10 saal baad bhi mera blog issi energy se padoge.

यह लगाये और आँखों के Dark-Spots को करे ख़तम आसानी से

Aankhon ki roshni badhaye,eye care tips in hindi, how to improve eyesight, eye treatment in hindi, Aankhon ki roshni badhaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *