अगर आपको बस, कार, ट्रेन या ह्वाई जहाज में बैठते ही अगर आपको उल्टियां आती हैं तो अपनाएं ये नुस्खे | Agar aapko bus, car, train ya hawai jahaj mein baithte hi ultiya aati hai to apnaye yeh nuskhe

अगर आपको बस, कार, ट्रेन या ह्वाई जहाज में बैठते ही अगर आपको उल्टियां आती हैं तो अपनाएं ये नुस्खे | Agar aapko bus, car, train ya hawai jahaj mein baithte hi ultiya aati hai to apnaye yeh nuskhe

Bus, car, train ya plane mein traveling ke waqt kai baar kuch logo ko ghabrahat ya ulti ki problem ho jaati hai. Darasal yeh motion sickness ki wajah se hota hai. Yeh problem ghar se bina khaaye piye nikalne se jyada hoti hai. Lekin iska matlab yeh bhi nahi ke aap ghar se heavy khaana khaa kar nikle. Is problem ke chalet hone wali pareshaniyo se bachne ke liye hamare yeh asaan gharelu nuskhe ya kaho health tips jaroor padhe.

CLICK HERE TO READ: भगवान और इनसान | Bhagwan aur Insaan

  1. Motion sickness ko kam karne ka sabse badiya nuskha hai peppermint. Mint ya pudine ke oil ki kuch drops apne rumaal par chidke aur usse sunghte rahe aisa karne se motion sickness mein araam milega. Mint pwali tea peene se ya toffee, chewing gum chabane se bhi kaafi araam milta hai.
  2. Kisi bhi gaadi ke last seat par baithne se hi us gaadi ki speed ka ehsaas jyada hota hai, jiski wajah se log motion sickness ka shikaar ho jaate hai. Is se bachne ke liye aap ho sake t ofront seat ya middle seat par hi baithe, is se yeh problem mein kafi raahat milegi.
  3. Travelling ke waqt padhne aur likhne se bache, kyonki is stuation mein dimaag ko ek saath kafi jagah par kaam karna padta hai au raise mein motion sickness badhne ki possibility bahut jyada hoti hai. Isse accha hai ke aap gaane sune.
  4. Agar aapko gaadi mein baithte hi chakkar aane lagye ya mann ghabrane lage to aise mein toffee choosna shuru kar de, ho sake to ginger wali toffee le, is se is problem se nipta ja sakta hai.
  5. Agar gaadi mein baith te hi saans lene mein pareshani lag rhai to halki aur gehri saans le, aise mein khudhki ka sheesha khol le aur muh bhara ki aur karke baithe. Is se aapko accha feel hoga aur ghabrahat aur bechaini se chutkara milega.
  6. Mann ko shaant rakhe, kuch der aankhein band rakhe, jaha jana hai us jagah ke aur us jagah ke kaam kaaj ke bare mein soche, apne mann ko majboot banaye, agar traveling se kahi jaane mein problem hai to us vehicle mein thodi thodi doori pe jana shuru kare , dheere dheere yeh problem khatam ho jaayegi.

Umeed hai is post se aapko kafi kuch sikhne ko mila hoga.

gharelu nuskhe, dadi maa ke nuskhe, desi nuskhe, दादी माँ के नुस्खे , देसी नुस्खे

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *